Saturday, November 11, 2017

main tum or hum...

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
Wohi Yaani Waada Nibaah Kaa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
Woh Jo Lutf Mujh Pe The Beshtar, Wok Karam Ke Tha Mere Haal Par
Mujhe Sab Hai Yaad Zaraa Zaraa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
Woh Naye Gile, Woh Shikaayatei, Woh Maze Maze Ki Hiqaayatei
Woh Har Ek Baat Par Roothnaa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
[ Hiqaayat = Story ]  [Gila = Compaint]
Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Chah Thi, Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Raah Thi
Kabhi Hum Bhi Tum Se The Ashana, Tumhei Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
[ Ashana = Friendship]
Jise Aap Kehate The Baavafaa, Jise Aap Ginate The Ashana
Main Wahi huu ‘momin-e-mubatala’, Tumhei Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
writer sonu sahu

Pages

pyaar main dhoka kon deta hai friends ??